itne zamane bhar ke sitam dekhte rahe phir bhi khuda ka sab pe karam dekhte rahe ghar ko hamare samne luta gaya magar murat bane khade hue hum dekhte rahe mitti ka ek khilauna jo bachche se gir gaya tab se hum us ki aankhon ko nam dekhte rahe dekha na hoga chand kisi ne qarib se tha ru-ba-ru khuda ki qasam dekhte rahe ab tak kisi bhi chehre pe thahri nahin nazar 'irfan' kya tha tujh mein jo hum dekhte rahe