itni KHata hui ki hanse the kisi ke sath

itni khata hui ki hanse the kisi ke sath
ab ro rahe hain baith ke hum zindagi ke sath

rahat ke sath dukh hai to aansu hansi ke sath
gahra hai kitna gham ka talluq khushi ke sath

apna chalan badalne lage waqt ki tarah
milte the jo har ek se badi sadgi ke sath

sae saron pe maut ke mandlate hain magar
hum phir bhi ji rahe hain ulu-himmati ke sath

kis ko tumhaare dard se dil-bastagi nahin
raunaq hai anjuman ki isi raushni ke sath

shayad wafa-shanas nazar ka qusur hai
'arif' suluk un ka jo hai be-rukhi ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close