itni qurbat bhi nahin thik hai ab yar ke sath zakhm kha jaoge kheloge jo talwar ke sath ek aahat bhi mere ghar se ubharti hai agar log kan apne laga lete hain diwar ke sath panw sakit hain magar ghum rahi hai duniya zindagi thahri hui lagti hai raftar ke sath ek jalta hua aansu meri aankhon se gira bediyan tut gain zulm ki jhankar ke sath kal bhi anmol tha main aaj bhi anmol hun main ghatti badhti nahin qimat meri bazar ke sath kaj-kulahi pe na maghrur hua kar itna sar utar aate hain shahon ke bhi dastar ke sath kaun sa jurm khuda jaane hua hai sabit mashware karta hai munsif jo gunahgar ke sath shahr bhar ko main mayassar hun siwae us ke jis ki diwar lagi hai meri diwar ke sath