izn-e-KHiram lete hue aasman se hum

izn-e-khiram lete hue aasman se hum
hat kar chale hain rahguzar-e-karwan se hum

kya puchhte ho jhumte aae kahan se hum
pi kar uthe hain khum-kada-e-asman se hum

kyunkar hua hai fash zamane pe kya kahen
wo raaz-e-dil jo kah na sake raaz-dan se hum

hamdam yahi hai rahguzar-e-yar-e-khush-khiram
guzre hain lakh bar isi kahkashan se hum

kya kya hua hai hum se junun mein na puchhiye
uljhe kabhi zamin se kabhi aasman se hum

har nargis-e-jamil ne makhmur kar diya
pi kar uthe sharab har ek bostan se hum

thukra diye hain aql o khirad ke sanam-kade
ghabra chuke the kashmakash-e-imtihan se hum

dekhenge hum bhi kaun hai sajda taraaz-e-shauq
le sar utha rahe hain tere aastan se hum

bakhshi hain hum ko ishq ne wo juraten 'majaz'
darte nahin siyasat-e-ahl-e-jahan se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close