iztirab-e-shauq mein ilham ka dhoka hua

iztirab-e-shauq mein ilham ka dhoka hua
dil jo dhadka aap ke paigham ka dhoka hua

baat itni thi ki us ne ek zara pheri thi aankh
aur mujh ko gardish-e-ayyam ka dhoka hua

marhaba husn-e-tasawwur gesuon ki chhanw ka
gham ki tapti dhup thi aur sham ka dhoka hua

jazb hain nazron mein yun us husn ki ranginiyan
aankh uthi jis par usi gulfam ka dhoka hua

de rahe the hadiya-e-tabrik wo aghyar ko
aur 'mubarak' mujh ko apne nam ka dhoka hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close