ja nahin sakti jidhar jaane ko ji chahta hai

ja nahin sakti jidhar jaane ko ji chahta hai
in dinon yun hai ki mar jaane ko ji chahta hai

ghar mein rahti hun to bahar ki hawa khinchti hai
ghar se jab niklun to ghar jaane ko ji chahta hai

main ne kab bandh ke rakha hai tumhein pallu se
tum chale jao agar jaane ko ji chahta hai

ahd to tha ki na todungi main hadd-e-fasil
aaj wade se mukar jaane ko ji chahta hai

teri aankhon mein to rahte hue ek umr hui
ab tere dil mein utar jaane ko ji chahta hai

muddaton baad tera qurb mila hai mujh ko
aaj har had se guzar jaane ko ji chahta hai

barq-raftar guzarti hun wahin se 'rakhshan'
jis jagah mera thahar jaane ko ji chahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close