ja rahi hai bahaar phulon ki

ja rahi hai bahaar phulon ki
hai qaba tar tar phulon ki

sinchiye pahle khun-e-dil se chaman
dekhiye phir bahaar phulon ki

un ke honton pe muskuraati hai
muskurahat hazar phulon ki

kis qadar talkh ye haqiqat hai
ham-nashini-e-khar phulon ki

jis ko kahte hain hum bahaar-o-khizan
wo to hai jit haar phulon ki

sach bata kyon khamosh hai bulbul
ai saba raaz-dar phulon ki

hai khizan mein bhi jaise aawara
nikhat-e-be-qarar phulun ki

kya qafas mein bhi gul khilaegi
yaad yun bar bar phulon ki

'tahira' aaj tere sheron mein
hai mahak be-shumar phulon ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close