jaan de kar wafa mein nam kiya zindagi bhar main ek kaam kiya be-naqab aa gaya sar-e-mahfil yar ne aaj qatl-e-am kiya aasman bhi use sata na saka tu ne jis dil ko shad-kaam kiya ishq-bazi tha kaam rindon ka tu ne is khas shai ko aam kiya ab ke yunhi guzar gai barsat hum ne khali na ek jam kiya