jaan di jis ke liye usko KHabar koi nahin

jaan di jis ke liye us ko khabar koi nahin
ab khula mujh par ki mar mitna hunar koi nahin

aa hi pahunchi ek dariche se shua-e-aftab
main ye samjha tha shab-e-gham ki sahar koi nahin

aaj kis ki jaan se kheloge ai chaaragaro
aaj pahlu mein mere zakhm-e-jigar koi nahin

zawiya-ha-e-nazar mein aah itna ikhtilaf
go teri tahrir mein zer-o-zabar koi nahin

sang-rezon se hua jata hai daman tar tar
jama-e-tahrir mein mere guhar koi nahin

baj uthi 'sabir' hawa ke zor se zanjir-e-dar
main ye samjha tha koi aaya magar koi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close