jaan kuchh der ki mehman hai bimar ke pas

jaan kuchh der ki mehman hai bimar ke pas
ab to aa jaiye girti hui diwar ke pas

dil to hum pahli mulaqat mein de baithe the
jaan baqi thi so le aae hain sarkar ke pas

aaj phir ishq tamannai hai qurbani ka
kaun mansur hai aae to zara dar ke pas

nur-e-rahmat teri qismat mein kahan ai zahid
tujh ko ye nur milega to gunahgar ke pas

ek nai ruh machal utthi meri rag rag mein
aap kya aae ki jaan aa gai bimar ke pas

go dar-e-yar se main dur sahi ai 'nayyar'
dil magar rahta hai har waqt dar-e-yar ke pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close