jaan le gar tu jaan leta hai

jaan le gar tu jaan leta hai
kyon mera imtihan leta hai

kya bataun main apna haal-e-dil
jaanta hun tu jaan leta hai

zakhm dhalte nahin hain lafzon mein
kyon mera tu bayan leta hai

dekh hamdardiyon ka marham rakh
surkh aankhen kyon tan leta hai

dil ko sahla bhi thapkiyan bhi de
dil to bachcha hai man leta hai

aasman ko zamin samajhta hai
jab parinda udan leta hai

dekh kar war karna pahlu se
dekhna phir se jaan leta hai

kya jalaegi aag us ko jo
roz dars-e-quran leta hai

'shah' phulon sa dil tu rakhta hai
aur khushbu pe jaan deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close