jaan o dil sin main giraftar hun kin ka un ka banda-e-be-zar-o-dinar hun kin ka un ka sabr ke bagh ke mandwe se jhada hun jiyun phul ab to lachaar gale haar hun kin ka un ka hauz-e-kausar ki nahin chah-e-zanakhdan ki qasam tishna-e-sharbat-e-didar hun kin ka un ka lab-o-rukhsar ke gul-qand sin lazim hai ilaj dil ke aazar sin bimar hun kin ka un ka muddaten huin ki hua khana-e-zanjir kharab basta-e-zulf-e-girah-dar hun kin ka un ka tishna-e-marg kun hai aab-e-surahi dam-e-tegh bismil-e-abru-e-khamdar hun kin ka un ka nahaq is sang-dili sin mujhe dete hain shikast main to aaina-e-sarkar hun kin ka un ka gulshan-e-wasl mein rahta hun ghazal-khwan-e-firaq andalib-e-gul-e-rukhsar hun kin ka un ka main kaha rahm patangon pe kar ai jaan-e-'siraj' tab kaha sham-e-shab-tar hun kin ka un ka