jaana kahan hai aur kahan ja rahe hain hum

jaana kahan hai aur kahan ja rahe hain hum
apnon ki rahnumai se ghabra rahe hain hum

tum ne to ek nigah uthai hai is taraf
sau sau umiden bandh ke itra rahe hain hum

nakaam ho ke apni sada laut aaegi
ye jaan kar bhi dasht mein chilla rahe hain hum

sab apni apni rah par aage nikal gae
ab kis ka intizar kiye ja rahe hain hum

na jaane kis ki yaad ne li dil mein gudgudi
aaina dekh dekh ke sharma rahe hain hum

duniya ke karobar se matlab nahin 'majid'
dil ko khayal-e-yar se bahla rahe hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close