jaane chali hai kaisi hawa sare shahr mein

jaane chali hai kaisi hawa sare shahr mein
sochen huin saron se juda sare shahr mein

meri har ek arz hai na-mo'tabar yahan
us ka har ek hukm rawa sare shahr mein

sargoshiyan hain aur jhuke sar hain khauf hai
sahmi hui hai khalq-e-khuda sare shahr mein

badli meri nigah ki chehre badal gae
koi bhi mo'atabar na raha sare shahr mein

pindar qaisari pe jo zarb ek lagi to phir
kandhon pe koi sar na raha sare shahr mein

khamosh ho gae hain mere sare ham-nawa
zinda hai ek meri sada sare shahr mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close