jaane kis aalam-e-ehsas mein khoe hue hain

jaane kis aalam-e-ehsas mein khoe hue hain
hum hain wo log ki jage hain na soe hue hain

apne anjam ka dekhega tamasha kabhi wo
jite-ji hum to abhi se use roe hue hain

dagh mitta nahin kuchh aur numayan hua hai
apne hath aap ne kis chiz se dhoe hue hain

kuchh samajh mein nahin aata ye mukafat-e-amal
katte kyun nahin jo aap ne boe hue hain

ruh apni rahi hai qurb-e-badan se sarshaar
hum farishte nahin daman ko bhigoe hue hain

sans lene ko bhi ab in ki taraf dekhta hun
nok-e-nashtar jo rag-e-jaan mein chubhoe hue hain

kya mila un se hamein khak nadamat ke siwa
hum bhi kin khwabon ki tabir ko dhoe hue hain

itne nadan bhi nahin hum ki samajh bhi na saken
aap lahje mein jo shirini samoe hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close