jaane lage hain ab dam-e-sard aasman talak thandi sadak bani hai yahan se wahan talak jalte hain gham se jaan-o-dil-o-sina-o-jigar chaaron taraf hai aag bujhaun kahan talak bimar ho gaya hun main qaht-e-sharab se lillah le chalo mujhe pir-e-mughan talak masjid se dur hai ye dukan mai-farosh ki aati nahin hai kan mein bang-e-azan talak nikla jo dam to rahat-o-aram hai 'asir' aawargi hai jism ki ruh-e-rawan talak