jaanib-e-kucha-o-bazar na dekha jae ghaur se shahr ka kirdar na dekha jae khidkiyan band karen chhup ke gharon mein baithen kya saman hai pas-e-diwar na dekha jae surkhiyan khun mein dubi hain sab akhbaron ki aaj ke din koi akhbar na dekha jae shahr ka shahr gunahgar to ho sakta hai jab kahin koi gunahgar na dekha jae dasht se kam nahin viran koi basti 'makhmur' ye hujum-e-dar-o-diwar na dekha jae