jab aaftab na nikla to raushni ke liye jala ke hum ne parinde faza mein chhod diye tamam umr rahin zer-e-lab mulaqaten na us ne baat badhai na hum ne hont siye supurdagi ka wo lamha kabhi nahin guzra hazar bar mare hum hazar bar jiye hazar bar wo aaya bhi aur chala bhi gaya ek umr bit gai us ka e'tibar kiye khabar nahin ki khala kis jagah pe ho maujud zamin par bhi qadam phunk phunk kar rakhiye safar bhi dur ka hai aur kahin nahin jaana ab ibtida ise kahiye ki intiha kahiye hawa utha na saki bojh abr ka 'shahzad' zamin ke ashk bhi aakhir samundaron ne piye