jab amn ke aasar dekhte hain mahaul sharar-bar dekhte hain hai farz yahan kis pe shahryari sab apni hi dastar dekhte hain aaina to sab dekhte hain lekin hum aaina-bardar dekhte hain main mil ka patthar hun mujh ko rahraw mud mud ke kai bar dekhte hain jo log the badnam shahar bhar mein wo log bhi kirdar dekhte hain wo haar mein bhi sharmsar hai kab hum jit mein bhi haar dekhte hain hai khub 'sukhan' ishq-e-nek-tinat hum ruh ko sarshaar dekhte hain