jab apne e'tiqad ke mehwar se hat gaya main reza reza ho ke harifon mein bat gaya dushman ke tan pe gad diya main ne apna sar maidan-e-kar-zar ka pansa palat gaya thodi si aur zakhm ko gahrai mil gai thoda sa aur dard ka ehsas ghat gaya darpesh ab nahin tera gham kaise man lun kaisa tha wo pahad jo raste se hat gaya apne qarib pa ke moattar si aahaten main bar-ha sanakti hawa se lipat gaya jo bhi mila safar mein kisi ped ke tale aaseb ban ke mujh se wo saya chimat gaya lutte hue awam ke ghar-bar dekh kar ai shahryar tera kaleja na phat gaya rakkhega khak rabt wo is kaenat se jo zarra apni zat ke andar simat gaya choron ka ehtisab na ab tak hua 'qatil' jo hath be-qusur tha wo hath kat gaya