jab apni aankhon se ashkon ka qafila nikla

jab apni aankhon se ashkon ka qafila nikla
kinare tute to dariya ka hausla nikla

wo meri bazm mein aae raqib ke hamrah
chalo ki milne ka koi to silsila nikla

milen na aaj bhi bachchon ko rotiyan shayad
wo ghar se subh yahi sochta hua nikla

wo ek waraq ki mera nam jis pe likkha tha
teri kitab mein wo kyon mita mita nikla

main apne chehre pe khushiyan saja to laya magar
har ek shakhs mere gham se aashna nikla

main apna haal sunane laga jise 'rahi'
to us ka dard mere dard se siwa nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close