jab ashk teri yaad mein aankhon se dhale hain taron ke diye surat-e-parwana jale hain sau bar basai hai shab-e-wasl ki jannat sau bar gham-e-hijr ke shoalon mein jale hain har aan umangon ke badalte rahe tewar har aan mohabbat mein nai rah chale hain mahtab se chehre the sitaron si nigahen hum log inhi chand sitaron mein pale hain noche hain kabhi hum ne hawadis ke gareban nakaami-e-koshish pe kabhi hath male hain tarik fazaon ke ubharte rahe tufan phir bhi teri yaadon ke diye khub jale hain kya jaaniye ye rind bure hain ki bhale hain saqi ki nigahon ke ishaaron pe chale hain mahsus ye hota hai ki duniya ki bahaaren us gul-kada-e-naz ke sae ke tale hain yunhi to dil-awez nahin sher-e-'tabassum' ye naqsh tere husn ke sanche mein dhale hain