jab bhi faulad pighal jata hai

jab bhi faulad pighal jata hai
jaisa manzur ho dhal jata hai

jis tarah tir kaman se nikle
us tarah waqt nikal jata hai

waqt ke dao se bachne walo
waqt ka daw to chal jata hai

kisi taqdir mein likkhi ho magar
kab teri zulf ka bal jata hai

phul chhuta hai wo hota hai shad
aag chhuta hai wo jal jata hai

wo kisi chhote se bachche ki tarah
baat mein rang badal jata hai

un ke altaf-e-karam ke sadqe
han bura waqt bhi tal jata hai

‘manzil’-e-zar ko puchho kya ho
wo to baaton mein bahal jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close