jab bhi girta hun tham leta hai yun bhi wo intiqam leta hai kya shikayat ada hai ye us ki be-niyazi se kaam leta hai aisa kya kuchh pila diya tu ne jo bhi hai tera nam leta hai chhid hi jati hai dastan meri jab koi tera nam leta hai sab ki nazren bacha ke ai 'hairat' koi tera salam leta hai