jab bhi gulshan mein chali ThanDi hawa

jab bhi gulshan mein chali thandi hawa
aur pagal kar gai thandi hawa

pahle to aisi na thi thandi hawa
ho gai kyun dil-jali thandi hawa

sun ke us ki baat ghunche hans pade
kan mein kya kah gai thandi hawa

un ke honton ka jo kar aai tawaf
pa gai kuchh naghmagi thandi hawa

hai dil-e-nakaam se achchhi nahin
chhed-khani bhi teri thandi hawa

sach bata meri tarah kya un ki bhi
be-qarari thi badhi thandi hawa

zakhm-e-dil jis se hua kuchh mundamil
kucha-e-jaanan ki thi thandi hawa

dekh lete hum bhi tera kuchh kamal
khilti gar dil ki kali thandi hawa

ek pareshan dil ka kah degi salam
milna un se gar kabhi thandi hawa

'tarzi' aisa hai asir-e-gham tera
haal par jis ke hansi thandi hawa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close