jab bhi gulzar se lahu nikla us ki takrar se lahu nikla dekhte hi mere janaze ko chashm-e-aghyar se lahu nikla jab laga mujh pe ishq ka bohtan mere kirdar se lahu nikla muddaton baad diary kholi sabhi ashaar se lahu nikla budha hote hi ud gae panchhi aur ashjar se lahu nikla marne par us sharir ladki ke yar akhbar se lahu nikla dekh kar teri yaad mein rota aaj diwar se lahu nikla ulfaten dekh kar 'ali' un ki mere inkar se lahu nikla