jab bhi jaan-e-bahaar milta hai dil ko sabr-o-qarar milta hai baat dil ki jo ho to kyun kar ho wo sar-e-rahguzar milta hai yaad kuchh qafilon ki aati hai jab bhi udta ghubar milta hai nazm-e-gulshan mein kuchh to hai khami har koi sogwar milta hai baada-e-talkh mein kahan hamdam jo nazar mein khumar milta hai rahrawon ke khulus se aksar manzilon ko waqar milta hai