jab bhi mazi ke nazare ko nazar jaegi

jab bhi mazi ke nazare ko nazar jaegi
sham ashkon ke sitaron se sanwar jaegi

kya bataun ki kahan tak ye nazar jaegi
ek din hadd-e-tayyun se guzar jaegi

jab bhi us ke rukh-e-raushan ka khayal aaega
chandni dil ke shabistan mein utar jaegi

har sitam karne se pahle ye zara soch bhi le
main jo bikhra to teri zulf bikhar jaegi

main ye samjhunga mujhe mil gai meraj-e-wafa
zindagi gar teri yaadon mein guzar jaegi

us taraf apni mohabbat ki kahani hogi
ye hawa bu-e-wafa le ke jidhar jaegi

kya khabar thi ki 'zafar' ruh meri duniya mein
aarzuon se kuchal kar kabhi mar jaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close