jab bhi qissa apna padhna pahle chehra chehra padhna tanhai ki dhup mein tum bhi baith ke apna saya padhna aawazon ke shahar mein rah kar sikh gaya hun lahja padhna har konpal ka haal likha hai shakh ka pila patta padhna bhej ke nama yaad dila do bhul gaya hun likhna padhna logo meri pyas ka qissa sadiyon dariya dariya padhna diwaron par kuchh likkha hai tum bhi apna kucha padhna mazi ka aaina rakh kar khud ko thoda thoda padhna main hun sang-e-mil ki surat mujh se mera rasta padhna zist ka matlab kya hai 'kazim' apna apna likhna padna