jab bhi salib par koi isa dikhai de sari faza mein nur bikharta dikhai de is chandni ki zad se bacha le koi mujhe mera hi saya mujh ko daraata dikhai de poshida kaenat hai is sar-zamin mein dekho ise jo dur se nuqta dikhai de is shahr-e-dard-o-dagh mein kis kis ko dhundiye har shakhs apne aap mein chhupta dikhai de ai shams' muntazir hun main sahil pe sham se baadal hate to chand ka mukhda dikhai de