jab chala wo mujhko bismil KHun mein ghaltan chhoD kar

jab chala wo mujh ko bismil khun mein ghaltan chhod kar
kya hi pachhtata tha main qatil ka daman chhod kar

main wo majnun hun jo niklun kunj-e-zindan chhod kar
seb-e-jannat tak na khaun sang-e-tiflan chhod kar

piwe mera hi lahu mani jo lab us shokh ke
khinche to shangarf se khun-e-shahidan chhod kar

main hun wo gumnam jab daftar mein nam aaya mera
rah gaya bas munshi-e-qudart jagah wan chhod kar

saya-e-sarw-e-chaman tujh bin daraata hai mujhe
sanp sa pani mein ai sarw-khiraman chhod kar

ho gaya tifli hi se dil mein taraazu tir-e-ishq
bhage hain maktab se hum auraq-e-mizan chhod kar

ahl-e-jauhar ko watan mein rahne deta gar falak
lal kyun is rang se aata badakhshan chhod kar

shauq hai us ko bhi tarz-e-nala-e-ushshaq se
dam-ba-dam chhede hai munh se dud-e-qulyan chhod kar

dil to lagte hi lage ga huryan-e-adn se
bagh-e-hasti se chala hun hae pariyan chhod kar

ghar se bhi waqif nahin us ke ki jis ke waste
baithe hain ghar-bar hum sab khana-viran chhod kar

wasl mein gar howe mujh ko ruyat-e-mah-e-rajab
ru-e-jaanan hi ko dekhun main to quran chhod kar

in dinon garche dakan mein hai badi qadr-e-sukhan
kaun jae 'zauq' par dilli ki galiyan chhod kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close