jab dasht-e-tamanna mein koi phul khila hai

jab dasht-e-tamanna mein koi phul khila hai
shahr-e-dil-e-khamosh se ek shor utha hai

aankhon mein khandar honton pe ek bhula hua nam
chahat mein kisi ki ye ajab haal hua hai

phir yaadon ki dahliz pe jal utthi hain shamen
phir palkon pe bikhra hua ek khwab saja hai

har sans ho talwar si jaise rag-e-jaan par
jina bhi yahan nam kisi moajize ka hai

khamosh bahut der se hai bahr-e-hawadis
tufan tah-e-ab koi khaul raha hai

tum chaho to ye aakhiri sarmaya bhi le lo
ek dard ki daulat ke siwa pas hi kya hai

'betab' baras jaane do aankhon ka ye sawan
tinkon ka badan shoalon ki bahon mein ghira hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close