jab dikhai de raha tha khud-kushi ka rasta tab achanak hi mila ye shaeri ka rasta dhire dhire ye hamari bhi samajh mein aa gaya kis liye chunta hai koi khamushi ka rasta kash hum mahsus karte dukh un aankhon ka kabhi dekhti rahti hain jo har pal kisi ka rasta chalte chalte ek nae jangal mein kaise aa gae hum to samjhe the ki hai ye wapsi ka rasta panw se lipta hua tha koi anhoni ka dar kitna mushkil lag raha tha do ghadi ka rasta raat wo neamat hai jo raushan hai apne nur se wo bhala kab dekhti hai raushni ka rasta mukhtalif khushiyan hain sab ki mukhtalif hain ranj-o-gham mukhtalif hota hai jaise har kisi ka rasta