jab faraaz-e-baam par wo jalwa-gar hota nahin koi aalam ho nazar mein mo'atabar hota nahin rafta rafta ho raha hai wo sitamgar mehrban kaun kahta hai mohabbat mein asar hota nahin be-wafai ne kiya hai qissa-e-gham ko tawil ab kisi surat ye qissa mukhtasar hota nahin kab nigahon mein nahin hota teri furqat ka gham kaun sa aalam hai jab dard-e-jigar hota nahin shiddat-e-gham mein kami hoti nahin rone se kuchh lashkar-e-gham aansuon se muntashir hota nahin ab bhi nazren hain faraaz tur par paiham magar hae wo jalwa ki jo bar-e-digar hota nahin rahbar ki sazishon ne wo diye hain gham 'nadim' ab kisi surat yaqin-e-rahbar hota nahin