jab ghata jhum ke aati hai to pi leta hun fasl-e-gul dhum machati hai to pi leta hun chandni mein to kabhi chhanw mein taron ki kabhi raat hans hans ke bulati hai to pi leta hun ya kabhi teri judai ki sulagti hui sham ruh mein aag lagati hai to pi leta hun jab kabhi jashn manata hun gham-e-dauran ka mai bhi us jashn mein aati hai to pi leta hun kabhi haalat ki talkhi to kabhi fikr-e-jahan gham-zada dil ko dukhati hai to pi leta hun main kabhi khud nahin pita ki khuda shahid hai aasman se utar aati hai to pi leta hun apni har sham to be-mai hi guzarti hai 'payam' bazm-e-mai-khana pilati hai to pi leta hun