jab ke ruswa hue inkar hai sach baat mein kya ai sanam lutf hai parde ki mulaqat mein kya koi andha hi tujhe mah kahe ai khurshid farq hota nahin insan se din raat mein kya yar ne wada-e-farda-e-qayamat to kiya shak hai ai nala-e-dil teri karamat mein kya koi but-khane ko jata hai koi kaba ko phir rahe gabr-o-musalman hain teri ghat mein kya ek muddat se hun sail tere darwaze par bosa ya gali milega mujhe khairaat mein kya aisi unchi bhi to diwar nahin ghar ki tere raat andheri koi aawegi na barsat mein kya do ghadi ki jo mulaqat thi wo bhi mauquf aisa padta tha khalal yar ki auqat mein kya padh ke khat aur bhi mayus hue wasl se hum yar ne bheja safar se hamein saughat mein kya aatish-e-mast jo mil jae to puchhun us se tu ne kaifiyyat uthai hai kharabaat mein kya