jab khula baadban hathon mein aa gaya aasman hathon mein shoala tha wo gulab tha kya tha pad gae hain nishan hathon mein girte jate hain phul bistar par khulta jata hai than hathon mein us ne hathon pe hont kya rakkhe aa gai sari jaan hathon mein phul kya kya khilati jati hai koi shakh-e-guman hathon mein wahi rasta wahi hawa 'qaisar' aur wahi shama-dan hathon mein