jab khwahish-e-duniya se koi kaam nahin hai kyun phir dil-e-shorida ko aaram nahin hai shamil yahan isbaat mein pahlu-e-nafi hai kaamil kisi aaghaz ka anjam nahin hai wo dhup hai aankhon mein ki jal jati hai har sham manzar hai dhuan koi lab-e-baam nahin hai kya tarz-e-rifaqat hai ki milte hain ba-sad-shauq par zikr-e-shanasai-o-paigham nahin hai tang-zarfi-e-hayyat jise kahte hain ghazal ki aafaq-e-maani hai wo ibham nahin hai