jab ki sari kaenat us ki nigahbani mein hai dil azal hi se na jaane kaisi hairani mein hai meri fitrat bhi to shamil meri nadani mein hai laghzish-e-adam jo pinhan khun-e-insani mein hai jaane kis hangam mein dali gai buniyaad-e-dil dil jo ab tak mubtala ranj-o-pareshani mein hai dur kar deta hai bas ek pal mein sab shikwe-gile ye karishma bhi kisi ki aankh ke pani mein hai kya samajh paenge ye ahl-e-khirad is raaz ko lutf danai mein kab wo hai jo nadani mein hai dil mein aata hai hisar-e-har-talab ko tod dun aisi khwahish bhi tamannaon ki tughyani mein hai ho gai aadam se ye kaisi khata jis ke ewaz nasl-e-adam aaj tak aisi pashemani mein hai koi surat jab na ban pai to rona aa gaya kuchh to taskin-e-gham-e-dil ashk-afshani mein hai gar mile khud mein samo len sare insanon ka dard is qadar wusat hamari tang-damani mein hai