jab mile hai puchhta tum kaun ho tum kaun ho

jab mile hai puchhta tum kaun ho tum kaun ho
aah ye kaisi ada tum kaun ho tum kaun ho

daur-e-mushkil mein gila aghyar ka kaise karun
jab kahe ye aashna tum kaun ho tum kaun ho

malik-e-kursi tha to karte the jo jhuk kar salam
wo kahen jab se gira tum kaun ho tum kaun ho

jab kaha chahat adu se asl mein tauhin-e-ishq
bewafa kahne laga tum kaun ho tum kaun ho

chahe jab phuslae mujh ko chahun main kuchh bhi agar
to kahe ye mah-laqa tum kaun ho tum kaun ho

dil hai asl-e-zindagi dene se pahle ghair ko
puchhne mein kya bura tum kaun ho tum kaun ho

banda-e-nachiz aisa yaum-e-mahshar ko agar
kya ajab puchhe khuda tum kaun ho tum kaun ho

jab kaha japte hain mala hum to tere nam ki
hans ke us ne kah diya tum kaun ho tum kaun ho

dil mein taswir-e-sanam honton pe hai nam-e-khuda
main sunun har dam sada tum kaun ho tum kaun ho

wada-e-bosa kiya lekin ewaz mein di chapat
aur nakhwat se kaha tum kaun ho tum kaun ho

aashiqi maslak wo 'anwar' jis mein do bante hain ek
ye gunah hai puchhna tum kaun ho tam kaun ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close