jab nazar ja na sake hadd-e-nazar se aage

jab nazar ja na sake hadd-e-nazar se aage
kaun soche ki hai kuchh aur bhi ghar se aage

manzil-e-ishq mein hum ko koi aisa na mila
jis ki manzil ho teri rahguzar se aage

jab talak sae mein baithe ho ghanimat jaano
dur tak dhup ka sahra hai shajar se aage

jo tere dar se uthe hain unhen malum kahan
kucha-e-dar-ba-dari hai tere dar se aage

manzilen muntazir-e-chashm-e-tamasha hi rahen
qafile ja na sake gard-e-safar se aage

'khawar' is shahr mein hum ahl-e-hunar par ye khula
ek shai be-hunari bhi hai hunar se aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close