jab raston se ishq-e-kaamil hota hai

jab raston se ishq-e-kaamil hota hai
tab banda nazdik-e-manzil hota hai

hamdardi hai dil mein to phir rah dikha
bas tanqidon se kya hasil hota hai

haq ki baaten us ki samajh mein aati hain
jis bande ke sine mein dil hota hai

rishton se samjhauta karna padta hai
warna kaun kisi ke qabil hota hai

hairat hai wo jis ko hum se rabt nahin
dil bhi us ki jaanib mail hota hai

aaj kahan insaf ka mandir milta hai
aaj kahan qazi hi aadil hota hai

khud se to namrud nahin banta koi
asal mein pura shahar hi babul hota hai

hum ko to hansne ki aadat hai warna
muskanon mein dard bhi shamil hota hai

'haidar' dil mein basne wala hi aksar
dil ke armanon ka qatil hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close