jab raushni chamki to uThaya sar-e-sahil

jab raushni chamki to uthaya sar-e-sahil
mitti ke pyale mein tha sona sar-e-sahil

pani pe makan jaise makin aur kahin gham
kuchh aise nazar aai thi duniya sar-e-sahil

jab tai ho mulaqat us aashufta-sari se
tum aur hi kuchh rang pahanna sar-e-sahil

kashti mein nazar aai thi jannat ki tajalli
patwar uthate hi main bhaga sar sahil

ab qaum utare koi sine pe hamare
pahle to utara tha sahifa sar-e-sahil

main hath badhata to bhala kaise badhata
taswir mein the saghar-o-mina sar-e-sahil

hum log karachi ke ajab log hain sahab
khana hai samundar mein to pina sar-e-sahil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close