jab se asir-e-zulf-e-girah-gir ho gaya

jab se asir-e-zulf-e-girah-gir ho gaya
mein be-niyaz-e-halqa-e-zanjir ho gaya

jata kahan bhala teri mahfil ko chhod kar
main apne aap panw ki zanjir ho gaya

nur-e-jahan koi na koi yun to sab ki thi
daulat se ek shakhs jahangir ho gaya

mujh mein rachi hui teri khushbu thi is liye
badh kar adu bhi mujh se baghal-gir ho gaya

phir bandh li kisi se ummid-e-wafa 'qatil'
phir ek mahal hawaon mein tamir ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close