jab se bulbul tu ne do tinke liye tutti hain bijliyan in ke liye hai jawani khud jawani ka singar sadgi gahna hai is sin ke liye kaun virane mein dekhega bahaar phul jangal mein khile kin ke liye sari duniya ke hain wo mere siwa main ne duniya chhod di jin ke liye baghban kaliyan hon halke rang ki bhejni hai ek kam-sin ke liye sab hasin hain zahidon ko na-pasand ab koi hur aaegi in ke liye wasl ka din aur itna mukhtasar din gine jate the is din ke liye subh ka sona jo hath aata 'amir' bhejte tohfa moazzin ke liye