jab se kisi sanam ka afsana jaante hain har sang-o-khisht ko hum but-khana jaante hain ai shama-e-husn-o-khubi dil hai wahi hamara mahfil mein aap jis ko parwana jaante hain wo rashk-e-bagh-e-rizwan jab tak na jalwa-gar ho hum rauza-e-iram ko virana jaante hain marqad pe kohkan ke ai 'faiz' yun likha hai diwane hain jo mujh ko diwana jaante hain