jab se meri taqdir ka duba suraj us roz se ab tak nahin dekha suraj dubega bahut jald ye chadhta suraj is waste main ne nahin puja suraj jab se tere chehre ki chamak dekhi hai aankhon ko meri ek nahin jachta suraj tariki se har shakhs ko fursat to mili mere liye ab tak nahin nikla suraj kirnon ko wo bazar mein bech aaya hai shayad ki kai din se tha bhuka suraj tum ne to kai logon ko bante lekin main ne to kabhi ek na paya suraj barson se zamane ko sahar de na saka haalat mein kuchh is tarah uljha suraj aaya hai tasawwur mein sar-e-sham koi mere ufuq-e-zehn pe nikla suraj 'ajiz' ko pareshan nahin kar sakta aflak-e-masaib ka ye tapta suraj