jab se tera karam hai banda-nawaz soz hai soz aur na saz hai saz main hun aur meri be-par-o-baali dil hai aur dil ki jurat-e-parwaz husn ki barhami maaz-allah gesuon ke bikharne ka andaz zulf-e-barham jhuki hui nazren gardan-e-naz mein kamand-e-niyaz qadd-e-baala o daman-e-kotah manzil-e-ishq ke nasheb o faraaz qata hone laga hai rishta-e-zist ai gham-e-yar teri umr daraaz