jab se tera nam lene lag gae har taraf yaadon ke kheme lag gae jab se taswiren hatai hain teri dil ki diwaron pe jale lag gae us ne bhi gum-nam khud ko kar liya hum bhi khamoshi se jine lag gae bantne aae ho mera dard ab jab mere zakhmon pe tanke lag gae kash milne ka sabab koi bane raste bhi hath malne lag gae maut aasani se aaegi nahin gham mujhe andar se khane lag gae khwab aankhon ke 'munazzah' sab meri maut ka saman hone lag gae