jab sen tujh ishq ki garmi ka asar hai man mein tab sen phirta hun udasi ho birah ke ban mein aaj ki raat mera chand nazar aaya hai chandni dud si chhitki hai mere aangan mein us ki sabit-qadami par sati qurban hun mein khet chhoda nahin mujh dil ne parat ke ran mein qatra-e-ashk mera dana-e-tasbih hua raat din mujh kun guzarta hai teri sumran mein jab sen dastar rangaya hai sanam abbasi gul-e-abbas kun nin rang raha gulshan mein sair-e-dariya sen nahin hum kun tasalli mumkin gham ke tufan ubalte hain hamare man mein kyun na hoe dil-e-yaqut-laban mom 'siraj' kaam karta hai meri aah ka hira khan mein